Hey Guys 👋
ye mera pahl post h…isme m aapse share karunga ki kaise ek husband wife ke relation ko unke ghar wale affect kr sakte h.
10 November ko mere saale ke bete ka birthday hai — aur meri wife ne plan bna rakha h wha jane ka.
Par pata nahi kyun, mera dil hi nahi kar raha wahan jaane ka.
Baat shayad itni badi nahi lagti, par uske peeche jo chubhan hai na… wo thodi gehri hai.
Bhaiya Dooj ke din main sasural nahi ja paya tha — aur bas usi baat ko lekar meri saas ne mere baare me kuch aise shabd keh diye jo ab tak dimaag me goonj rahe hain.
Kabhi-kabhi kuch baatein dil me bas chhup jati hain, chahe hum chup rahein ya nahi.
Ab maine jab apni wife se bola ki main iss baar nahi ja paunga, wo tab se wo off hai.
Thoda rude, thoda distant… aur ghar ka environment bhi heavy sa lag raha hai.
Kuch kehne ko hota bhi hai aur nahi bhi. Kabhi sochta hu koi nhi ignore krta hu, m aage se baat nhi karunga..dekhta hu kab tak aisa chalenga. But mujhe aisa bhi lagta h ki, aise krne se hum apni beti ki life me stress add kar rhe h. Meri ek beti h jo 3 saal ki h jiska naam Prerna h.
ab m ye chahta hu ki meri saans mujhse maafi mange, agar mujh se nhi maang sakti to meri mummy se maange..kyuki unhone meri mummy se hi mere bare me bahut kuch bola tha phone par jab m bhaiya dooj par nhi ja paya. Isliye agar wo dubara se meri mummy ko phone karke kah de ki us din thoda jyada ho gya..maise aise hi bol diya. Isse bhi cheeze thik ho sakti h.
Kahi baar hum bas ek break chahte hain — bina guilt ke, bina justification ke.
Main ye post likh raha hoon un sab logon ke liye jinke ghar me bhi aaj kal thoda emotional tanav chal raha hai.
Kuch mat bolo, kuch mat justify karo — bas ek baar khud ke liye soch lo.
Kabhi-kabhi dil nahi karta jana, aur wo bhi theek hai